DARYAA DARYAA BEHTAA HOON....!!
Daryaa daryaa behtaa hooN QaTrah qaTrah
tarsaa hooN
Mat dekho maiN kaisaa hooN MaiN jaanooN
maiN kyaa kyaa hooN
Din bhar jaltaa rehtaa hooN MaiN sooraj
kaa chehraa hooN
Unki jheel si aankhaoN meiN MaiN bhi
akcar Doobaa hooN
Jab apnaa koii bichRe tou Khoon ke
aansoo routaa hooN
MaiN :armaan:! Ek banjaarah Basti
basti phirtaa hooN =======
TERE NAAM....!!
Aarzo’on ka taj mahal tere naam Armanon
ka sheesh mahal tere naam
Chahat ka shafaaf kanwal tere naam Sapnon ka rangeen har pal
tere naam
Phoolon ki komal muskaan tere naam Bhanvron ki sureli gaan tere naam
Subah ki pehli sharmeeli
Kiran tere naam Masjid ki azan mandir ka bhajan tere naam
Tapti dopahar ke maathe ka paseena tere naam Thaki
shaam ka pursakoon safina tere naam
Mahakti raaton ki tanhayee tere naam Sandalee khwabon ki angrayee tere naam
Bheege nainon ke geele mausam tere naam Rukh pe uljhi zulf-e-barham tere naam
Honton ka ganga jamni sargam
tere naam Jazbon ki pakeezah shabnam tere naam
Mera soz-e-dil meri chashm-e-nam tere naam Meri shayeri
mera her gham tere naam
Aye chand tujhe chahat ki qasam.... Tu jo raat ko ser ko nikele ga Mera chand ager mil
jaye kahiin... Bas itna us se poochega
Maine sab kuch uske naam kia Keon usne mujhay badnaam kia ??! ###@### Muneer
Armaan Naseemi
General Ward
Swami ji ka chehra gussey se laal teen mah ka hamal??? Swami ji ne kardiya bawal Sarkar ne commission
bitahya teen mehne baad asl ma'amla samne ayaa nurse ne swami ji ko kisi aurat ka... urin test tha pakRaya........!
Blood Bank mein khoon nahin hai Emergency ward mein phone nahin hai Doctor nashey meiN choor.... Night shift
mein Kerali nurse bhi lagti hai unko hoor....! mareez paRa hai zakhmoun se choor uske zakhmouN pe marham kaun
lagaiga uske liye shayed koi.... Swarg se aayega...! Jaib mein maal hai to yahan ayiye varna apne hi ghar
meiN......... apnaun ke beech marjayiye itni gandagi, khatmal, makhhi aur machchar haiN yahaN Aankh ka test karwaney
aayiye Haiza, bukhar aur Malariya.... Muft meiN le jayiye!! @@@
Munir Armaan Nasimi @@@
Munir Armaan Nasimi (c) 2008-2018
|